Allama Ibn-e-Sirin ki kitab khwab nama ke mutabik Khwab Mein Rona Dehkna, ke us ke chehry pr rony sy nishan par gye hain dalil hai ke us ko nek kam ke bais log tany maryn gyn.
Hazrat Ibrahim Kirmani nay farmaya hai ke khwab mei rona sahib-e-khwab ke liye khushi or Allah ki bakhshish hai.
ager khwab mein dakhy ke gunah ya kisi ilam ki mafil ya Quran Majeed parhny mei roya hai or muqa per jo is ke mushaba hai to khuda ky karm ki dalil hai jo apny fazal sy is pr rehmat kry ga or is ke gunah bakhshy ga
or ager dekhy ke roya hai or ansu us ki ankh sy ni niklay hain dalil hai ke guzashta kam ky na krny sy afsos kry ga or toba kry ga or ager kisi kiye hoy kam ki masibat pr baghyer noha or zari ke roya hai dalil hai ke shadi khoushi or rahat dekhy ga.
Hazrat Jafar Sadiq ny fermaya hai ager khwab mein dekhy ke roya hai or phr hansa hai dalil hai ke is ki moot qarib hai.
1 Comment
Mai 5 din se 1 hi khawab dekh rhi hu k mere khawand ne 1 or shadi kr li hai or Mai roti jati hu phir mera khawand mje hosla deta hai k agr Mai tumhe in bta deta to tum mje shadi ni krne deti.