Allama Ibn-e-Sirin ki kitab khwab nama ke mutabik Khwab Mein Itching Hona (Kharash Lagna) mushaqqat sy roozi kamana hai baaz hazraat kehty hain ke kharash sy aisy aadmi ki taraf ishaara hai jis ka baatin zaahir sy behtar hai.
Kharaash:
Iski dlalat maal ko nuqsaan karny par hoti hai chunanche kisi ny khwab dekha ke kisi shaks ny usko zakhmi kar dia to daleel hai ke wo shaks us ke maal ya rishta daaron ko zarar pohunchaye ga.
agar is zakham mein waram, peep, aur khoon alood peep ho to daleel hai ke zakhmi krny wala zakhmi hony waaly ke baary mien aisa kalaam kary ga jis k baad zakham khoordah ko bohut sara maal mily ga.
Khwab mien peshaani ka zakhmi hona jald marny par dlalat karta hai.
Kabhi zakham buri shuhrat par dlalat karta hai for example, bukhal, kufr, fasaq waghera.
Kabhi zakham ki dlalat bad zubaani par aur tanaa deny par bhi hoti hai.