Allama Ibn-e-Sirin ki kitab Khwab Nama k mutabik Khwab Mein Ishaaq Alaih Alsalam Dekhna ki Tabeer:
1)Khwab me Ishaq(a.s) ki zayarat ghum o takleef ki alamt hy lekin agr iska beta hy to is k aaq krny phir us k mutee hony ki daleel hy.
2) Kbhi inka deedar krna basharat awr khoof sy mamoon hony ki daleel hoti hy.
3) Baz Ulma e Tabeer ny kha hy k Ishaq(a.s) ki roiyat ki tabeer rishta daroon ki trf sy takleef phunchny awr phir Allah Tala ki trf sy us takleef k rafa hony sy ki jati hy.
4)Agr kisi ny Hazrat Ishaq(a.s) ki zayart in k husn o jamal awr intihai achi halat me ki to iski tabeer ye hy , Rizq, Izat o Shrf o Basharat ki dolat su mala maal hoga, awr iski nasal sy badshah raoosa aor saliha log peda hon gy , aor agr ziarat unki achi halat me nhi ki to tabeer ye hy k sahib khwab ki benai khtm ho jaye gi.
5)Kabhi inki roiyat ki tabeer ghum sy khsuhi ki trf , tangi sy wusat ki trf , maesat sy taat ki trf awr nafrmani sy frmanbrdari ki trf rujo ki jati hy .
6) Agr kisi ny dekha k iski shkl o surat Hazrat Ishaq(a.s) jysi hogi, ya in ka libas phn lia ho to tabeer ye hy k sahib e khwab moot k dihany me pohunch jaye ga. awr is sy nijat mily gi.