Allama Ibn-e-Sirin ki kitab Khwab Nama k mutabik Khwab me insan k qadd ka lamba hona fitna hy. naiz kbhi ye bukhl prr bhi dlalt krta hy awr aik dosry k muqably me mali brtri awr agy bdhny prr b dalalt krta hy
2) Khwab mein lmby qadd ka chota hona koi acha shagon nai hy. ye qdr ki psti ya moot k qareeb hony ki daleel hy .
3) Agr kisi ny khwab dekha k iska qadd apni hdd sy bdha hua hy ye bhi iski moot ki daleel hy ya apny martby sy girny ki daleel hy
4) Agr kisi ny apny qadd ko chota paya to iska ohda is sy cheen lia jaye ga ya wo jiss ohdy ka umeedwar hy usko nai mily ga.
5) pust qadd hona mahakmat awr mkhasmat me shikast khany ki daleel hy isi trh chota hona jung me maghloob hony awr makhasma ki alamt hy is liye k chota hona zillat hy. Talib e walaiyat k liye lmba qdd wala hona walayat milny ki basharat hy. badshah k liye apni umeed k pora hony ki alamt hy.