Allama Ibn-e-Sirin ki kitab khwab Nama k mutabik agr Khwab Mein kisi anjan shks ko dekhy bedari me bhi isi ko dekhy ga. awr isi trh amal kry ga agr khwab me isko galat kaam krta dekhy to sahib e khwab b bedari me woi amal kry ga jo wo kr rha hy.
2) Kbhi ksi 1 insan ko dekhna rizq awr umar k muntahi hony ki trf ishara kr deta hy .
3) Khoofzadda shks khwab mein 2 insano ko yakja dekhy to khoof sy mamoon hoga.
4) 3 Ashkaas ko dekhna gunahon sy bchny ki basharat hy khwab me kisi jaan pehchan waly shks ko dekhna bydari me is sy ya is k shabii sy kuch hasil krny ki daleel hy.
5) Agr is sy kuch hasil hota hy to is k sath muhabbt kry ga awr iski umeedyn us sy pori hon gi.
6) Agr us sy Qamez ly li to walayat naseeb ho gi , agr Rassi ly li to ye wada krny prr dalalt hy
7) Agr us sy maal ly lia to is k drmiyan adawtt awr bughz hoga
8) Maroof admi ki dalalt khud is ki zaat ya uska hum shkl ya uska shrr ya un k peshy prr hoti hy
9) Khwab mein kisi mashoor o maroof admi ko dekha k wo bulnd martby prr faiz hua ya bulnd matba sy neechy gir gya to phli surat me nazool khair awr dosri me nazool shrr ki alamt hy.