Allama Ibn-e-Sirin ki kitab Khwab nama k mutabik Khwab Mein Barish Dekhna haQ taiala ki taraf sy bandoon per rahmat or berkat hai jab eam barish ho or sy b jaga pohoncha -fermane haq taiala hai (usi ki zat pak ha jo naimeed ke baid barish bersata ha or apni rahmat ko phalata hai )
or barish ke waqt per dakhna bohot eacha hai khasa ker jab log barish ko chahan to nahayat nack hai ‘lakin khase sakht barish sirf apnay kocha mein dekha ke is ke swa or kahi nahi berseey to eahlamoza per brang or bemarry ki daleel hai ‘ or ager dekha ke barish eahista eahist horahi hai to eahlay moza khairoo berkat ki daleel hai –
or ager dekha ke eaval sal ya eaval mah barish baras rahi hai frakhi namat ziyada hogi or ager dekha ke barish sakht or siyah hai to bemmarry per hai us mein halak hoga –
hazrat ibne serein (RHU) na fermaya hai ke ager koi shaks khwab mein sakht barish dekha ke apnay waqt per bersy hai to daleel hai ke in donon mein rango bala ke lashker eaia ga –
or ager dekha ke abe rawan sy masah kerta hai to is amer ki daleel hai ke khof o gam sy aman sy rahy ga
Barish :
(1) khwab mein ager barish sy ager nuksan pohoncha to ya kherro rizk or rahmat ki daleel hai ‘barish insan ki hayat or ya wada wafai ki hai daleel hai –
(2) ager barish sirf matieen jaga per hoi hai to ya is ke eeahal ke gam hazan man mubtala honay ya khud saheba khwab ko prashani lahak honay ki daleel hai –
(3) or ager barish eam or nuksan dah ho ja sy aasman sy khon ya pather baras raha hoon to ya maisy or gonahoon ki daleel hai ‘ager saheba khwab mosafer hoto is ka safer tatul shikar hoga
(4) nafay danay wally barish dushmanon sy solah safai ya moseebat zada shaks ki imdad ki daleel hai ‘or barish ki tabeer iotoon ke kafla bhi hai jesa ioton ki kaly ki tabeer barish sy hai
(5) khwab mein aam barish dakhna motil kam ke kerper daleel hai or usi kharro namat or berkat hasil hogi
(6) or ager gam zadhja ya makrooz hoto is ke gham qarz door hoga -barish is sall ki koshadha hally or madad ki daleel hai
(7) sirf apnay gher mein barish ke nazool na dosrray logon per to usy khairro monfaiat or karamat hasil hogi
(8) jo dekhy ke barish ka pani her janib bhata hai or darakhtoon ko ukharr raha hai to ya badshah ki taraf fitla fasad berpa kernay ki daleel hai
(9) ager zameen per khon ki barish hoto ya azab ki almat hai
(10) kisan ageer khwab mein barish dekha to ya bisharat or khoshhally jo usu hasil hogi ‘baiaz kahtay hain-
(11)barish ager matty ki ho yani matty barasty ho mager gerdo gobar naho to bhi daleel khus hally hai
(12) shahad ki barish hertarah ke admy ke liya khushally ki daleel ha ghe or zatoon ki bhi ya he tabeer hai’ barish allh ki rahmat hai’ us ke deen ki koshadgi or madad ki daleel hai barish nazil shodah afat per bhi daleel hai jasy tediyan ‘iollay or eandhi ‘ khasosan jab is mein ag or is mein pani garam ho ‘ barish fitnon or khon razzy per bhi dalalat kerty hai
(13) or bawaqt ki barish bemarrion per daleel hai
(14) or apnay waqt honay wally barish mosafer amala turk kerna or ya foker ke sabab kam moltaveey honay ya jail main qaid honay ki daleel hai
(15) ya barish ke pani sy goslay janabat kiya hai ya is pani sy wazoo kiya hai ya us sy najasat ko dhoya hai jo najasat is ke jisam ya is ke kappron per thi ager saheba khwab kafer hai to mosalman hoga ya gonahgar hai to tobah karaga ‘ fakeer hai to Allah isi gani kerdaga ‘ badsha ke pass is ki koi hajat ho porry hogi
(16) asmansa talvareen barasty dakhna logon mein fasad berpa hony ki daleel hai
(17) or dekha ke barish ka pani peeta ha ager safaf hai to khair hasil hogi ‘ ager pani gadla hoto ya gandah ho to daleel hai ke jis qader pni piya hai us qader beemarry lahak hogi