Allama Ibn-e-Sirin ki kitab Khwab nama k mutabik Khwab Mein Bakra Dekhna mard hai or bakri orat hai. Agar khwab mein dekhy kai namaloom bakray ko mara hai to daleel hai kai kisi baray admi per fatah paye ga.
Agar dekha ka bakra kay chamra utara hai to daleel hai kay bohot maal milay ga aur is ko jama karay ga. Aur agar dekha kay us ka gosht khata hai to daleel hai kay maal khaye ga aur agar dekha os par baitha hai to daleel ha ka kisi baray admi sa makar o helah karay ga jidhar chahy ga udher Phiry ga.
ager dekha ka bakrra na us ko pusht sa gerra diya ha saheba khwab jah wahshat sa gerray ga ager dekha us na bakrray ka dono seeng torr dala hain daleel ha daleel ha ka mrd ko amal sa roka ga –
ager dekha ka bakrra ka seeng mazboot or daraz hogaia hain ya shomar mein zitadha hogaia hain to daleel ha ka apnay amal or serdar mein kaveey hoga or kamoon mein kamiyab hoga –
or ager khwab mein dekhy ke bakry ke baal bary ho gaye hain to daleel hai ke uska maal zayda ho ga,or ager dekhy ke uski pasham li hai to daleel hai ke osi qadar apny farzand ka maal ly ga or ager khwab mein dekhy ke bakri pai hai ya kisi ny os ko bakhshi hai to daleel hai ke orat kry ga.
Hazrat ibrahim Karmani (R.A) ny farmaya hai ke ager dekhy k bakri ka doodh nikaal kar piya hai to daleel hai ke orat sy maal paye ga.
or ager dejhy ke bakri ko zibah kia hai or os ka gosht khaya hai t daleel hai ke os orat sy os ki zrurt pori hogi. or ager dekhy ke bakri ko gosht ke liye zibah nahi kia hai to daleel hai ke orat sy nikah kary ga or faida na dekhy ga,or ager dekhy ke bakri ko ghar sy bahar nikaal dia hai to daleel hai lke orat ko talaq dy ga ,or dekhy k bakriyoun ka rewarr ghar mein rakhta hai ya kisi or jagah hai or janta hai ke os ki mulk hai to daleel hai ke osi qadar osko maal or naimat or ghanimat hasil hogi. or agr dekhy ke bakriyon ka rewarr jungle mein chrata hai or jahan chahta hai wahan ly jata hai to arab ya ajam ki wilayat pr hakim hoga. Hazrat Jabir maghribi (ra) ny farmaya hai ke khwab mein dekhy bakri ka gosht khaya hai to daleel hai ke beemar hoga or jaldi shifa paye ga. bakri ka chmra or pasham or dodh khwab mein dekhna kher or barkat hai. or maal hai jo us ko mily ga or agr dekhy ke bakri ka bachha us ko kisi ny diya hai ya paya hai ya khud khareeda hai to daleel hai ke us ke han mubarak larka peda hoga. or ager bakri ke bachhy ko mara hai to daleel hai ke us ka beta halak hoga. or ager dekhy ke bakri ke bachhy ka gosht khaya hai to daleel hai ke apny bety ke maal sy kch khaye ga.
Hazrat Jafir Sadiq (ra) ny farmaya hai ke nar bakra khwab mein lashkar ka muqadma hai. or ager bakra paya or us py betha to daleel hai ke ye shakhs lashkar ka sardar hoga or ager sahib e khwab aam logo mein sy hai to daleel hai ke us ke sardar e lashkar sy sohbat hogi r maldar hoga
Hazrat Ibraheem Kirmani (ra) ny farmaya hai bakri ko khwab mein dekhna or us ka gosht khana maal jama krna or baaz or ahle tabeer ny bayan kia hai ke us ko jama kia hua maal hasil hoga.
Hazrat Jabir Maghribi (RA) ny faramaya hai ke bakri ka dekhna or khana ager mazydar or duurst hai to kher or faida ki daleel hai or ager bemaza hai to gham or andooh ki daleel hai.