Allama Ibn-e-Sirin ki kitab Khwab nama k mutabik Khwab Mein Bagheecha Dekhna mager jinki boniyad ka ilm na ho raha ho to islam or deen per dalalat krta hai bohot tabeer zameen per sabza ki hai.
(2) or baaz ny kaha ke kisi ny bagheecha dakha to daleel hai ke us ko achanak nuksan pohonchy ga or agr mayat ko achy bagh mein dekha to daleel hai woh jannat mein hai.
(3) or bageecha dakhna ‘ is ki zaibo zeenat us ki majoodgi ke baghair maloom na ho rahi ho islam per dalalat krta hai awr kabhi ye har achi fazeelat wali jaga per bhi dalalat krta hai jesy hazoor ki qabar, zikar kr ke halqy ‘bhalaia ki jama hony ki jaghain or ahle islah ki qaboor pr bhi dalalat krta hai.
(4) or kabhi bageecha quran pak ‘ ilmo hikmat ki kitab per bhi dalalat krta hai.
(5) or kabhi jannat pr bhi dalalat krta ha chonacha khwab mein bagh sy kisi gandi zameen ki taraf nikla to daleel hai ke woh sonnat sa baddat ki taraf or gunah ki taraf ho jaye ga.
(6) agr kisi ny apny ap ko bagh mein dekha ke woh usi sy kha raha hai or hajj ka zamana ho ya woh us mein azan dy raha ho to ishara ha woh hajj kary ga.
(7) agr ye hi khwab kafir dakhy to daleel hai ke woh islam laye ga ya gonahgar ny dekha to ilamat hai toba kary ga ‘ warna acha kam hoga jis ko woh kary ga jasy jumma or janaza wagarra mein shirkat krna.