Allama Ibn-e-Sirin ki kitab Khwab Nama k mutabik Khwab Mein Allah ke Rasty Mein Pehra Dena ye ataat per gosha nasheeni mamoorat ka tlazum itebaa sunnat or khoof khuda ki nishani h .
(2) or jis ny dekha k wo pehra prr or ksi morka men nikla h tou wo bhlai or nayki k rasty prr chl ga.
(3) or agr koi beemar ya gaiib hony wala in dono men c koi aik dekhy k wo morka ya choki wgera ki hifazt c wapis wapis plet kr apny gaoon men dakil ho rha h tou ye beemar ki tandrusti or gaib k lotny ki daleel hai.
Hazarat Ibn-e-Sirin ny farmaya hai ke khwab mein pehra dyna 2 wajah pr hai:
Ager dekhy ke ahle islah ka pehra hai to dono jahan ki khair or munfat pr daleel hai or ager dekhy ke shahi mahel ki pasbani krta hai to daleel hai ke badshah sy kher or faida paaye ga. or ager yehi khwab sodager dekhy to tijarat mein us ko bohot faida hoga or ager dekhy ke ahle islah or parhezgaro ki hifazat krta hai to daleel hai ke un sy duniya ka nafa or kher dekhy ga.
or khwab mein paasban ko dekhna sahib e qadar, martba or wilayat ka hona hai or kaamo ko durust kry ga or loog us ke intizaam mein hon gyn.