Allama Ibn-e-Sirin ki kitab Khwab nama k mutabik khwab mein agr koi khud ko phly asman prr ya phly asman k sath lga hoa dekhy tou wo ksi zalim ameer ya jhoty wzeer ka musahib hoga .ya phr dak khana k sath mutlak hoga ,
(2) khwab mein dosra asman badshah k muhrr prr daleel krta h .
(3) agr koi khud ko tesry asman mein dekhy tou wo ksi orat k sath shadi kry ga , ya orton k sath shrf hasil kry ga or in sy apna maksood paay ga .
(4) agr koi khwab mein chothy asman ko dekhy tou wo khalifa ka musahib hoga ya zmeen k bary badshahoon men sy ksi badshah ka musahib hoga . agr wo iska ehl nhi tou phr ksi khoobsurat orat k sath shadi kry ga .
(5) agr chothy asman ko dekhny k sath is mein chly bhi to wo badshah ki trf sfr kry ga .
(6) agr khwab mein koi panchven asman ko dekhy to wo badshah k foji ko dekhy ga ya phr ksi perhyz gar admi ko dekhy ga ya ksi bary admi ka sathi hoga .
(7) 6ty asman ko khwab mein dekhna ilm o fazl pany ki dleeel h . nyz sahib khwab ki amoor mein door andeshi sy kam leny prr bhi dlalt hoti h .
(8) satven asman ko khwab mein dekhna ishara h k wo badshah k ksi admi milly ga .
(9) athven asman ko khwab men dekhna dleel h k sahib khwab ki nazer bary badshah ki trf h or iska sahib bhi bny ga .
(10) noven flak ko khwab mein dekhna ksi bary admi k musahib hony ki alamt h ,
(11) dswan asman jo k ahata krny wala h sary asmanoon ka isy khwab mein dekhna dall h , agr sahib khwab darulislam mein h to sub c bary khalifa dekhy ga .agr ksi bary sooby mein mukeem h to bary badshah ko dekhy ga ya iska karb hasil kry ga .
(12) khwab mein agr koi khud ko ghoomta dekhy ya asmanon mein c ksi asmna ko dekhy tou iski shan buland hoge.or jaho dolat mein zyati k sath apni arzoon ko bhi hasil kry ga .
(13) sub asmanon ka khwab mein dekhna dleel h k Allah tala ka kurb hasil hoga or iska martba bhi barhy ga ya woo zmeen k bary badshahoon mein sy ksi badshah ka sahib ho ga .
(14) khwab mein agr koi asmanoon ko apni jga sy hta hoa dekhy tou hakim hony ki sorat mein apny hukam mein zulam k rasty prr chlny ki dleel h isi trah badshah ki ashya ko inki jga sy tabdeel krny ki trf ishara h .
(15) khwab mein agr orat khud ko neechy waly asman k neechy dekhy tou badshah k wazeersy ya badshah k ksi mutalkeen mein sy ksi sy shadi kry ge,