Allama Ibn-e-Sirin ki kitab khwab nama ke mutabik Khwab Mein Lota Dekhna khazana dar sahib tadbeer hoga ke amdni or kharch us ke hath mein hoga or agr dekhy ke badshah ny usko kozah dea hai tou daleel hai ke khazanchi or badshah ka musheer hoga or wo lota ksi ko dy bhi tou yehi kyass hai.
Hazrat Karmani ny farmaya hai ke khwab mein kozah khadim hoga .farman haq tala hai (” bahesht mein un pr khadim kozon or badhnoon ke sath twaf kren gy “) agr dekhy ke usko kozah toot gya ya zayah ho gea hai tou daleel hai ke uski orat bura ho jaye ge ya marr jaye gi.
agr kozy sy apny apko pani peety dekhy tou daleel hai ke us ke han farzand paida hoga . khsooseat jb pani ko saff or khush zaika dekhy .
Hazrat Jiafir Sadiq ny farmaya hai ke khwab mein kozy ka dekhna panch wja pr hai.
(1) khadim
(2) khzanchi
(3) wzarat
(4) farzand
(5) aisi jga sy thori rozi pana jhan ay umeed nhi rkhta hai.