Allama Ibn-e-Sirin ki kitab khwab nama ke mutabik Khwab mein kabootar ko dekhna ki tabeer, khwab mein kabootar ki tabeer amanet’dar (paighamrsaa, sacha dost) saathi aur gham khuwar ha.Kabhi is se paak daman (raaz dar) baal bacho ki acha se tarbiyat krne wali biwi murad hoti ha.Waqet ba waqet is ki dalalet ahl-o-ayal wali aurat pr kabhi kaseer nasel mard pr hoti jo apne ghar hi mein magen rehta ho.
Kabhi kabootar ki dalalet maut pr noha (ronay wali) krne walio pr bhi hoti ha.
Palto kabootari khoobsurat arbi aurat ha. Os ke anday lrkiyan oske par larkay ha. Ager koi bnda kisi ki kabootri daikhay to woh zaani mard ha agr koi bnda kabootriyon ko daanay ki tarf bulay to woh auratoon ko burai mein lgay ga kabootri ka gutergoo (baat cheet) mard ka aurat pr zulam ka irshhara h.
Sufaid (White) kabootar deen ki alamat h.
Sabez (Green) kabootar taqwa ki alamat h.
Siyaah (Black) kabootar burai ki alaamat h.
Sufaid or kaali dabiyo wala kabootar zyada mail jool (Gathering) rakhnay wala aadmi hein.
ager kabootri oske pas se ori aur wapis nahi ai to daleel ha k woh apni aurat ki talaaq da ga ya oski wafat (death) hogi.
Ager daikhein k oski bahut saari kabootriyan hein to oski bahut si biwian aur kaneezein hongi jinhai naan nafqa nahi daiga.
Ager koi kabootri ke par katay to woh apni biwi ko ghar se na nikalnay ki qasem day ga.
Khwab mein kabootri arbi kaneez pr dalalat krta h. Imaam ibne serian frmatay hain k kabootri dor (faaslay, far away) se khaber lana ki daleel h. Ya mehbooba h khwa (chahay) woh azaad ho ya kaneez.
kabooron ki jmaat riyaaset h jo daikhnay wala ko milay gi agr woh onka malik bna ho.
Ager koi bnda khwab mein kabootar zibaah kre to apni ba krah kaneez judaa hoga.
Akeli kabootri kaneez se paida hone wale larkay ki daleel h.
Khwab mein kabootri ka gosht khana khadmoon ka maal ya dalaal banna h.
Kabootron ko apne choozay ke sath daikhna bandio ko onki aulad ke sath muqeed karne ki daleel.
Ager koi khwab mein bahut se shikaar kre to ose muaziz logon maal hasil hoga. Baz Hazraat kehtay hein k kabootar ko daikhnay wala ALLAH tallah se jo dua kre ga qabool hogi
Ager ghar mein kabootri daikhnay aur khwab daikhnay wala ghair shaadi shuda h to khoobsurat mohabbat krne wali aurat se shadi kre ga.Aur ghr ki bari (Aurat) oski biwi ki ki trh hogi.
Ager daikhay k kabootri ne os pr chalang lgai ya ose le kr ori to ose maal-o-daulat aur nemat haasil hogi.
Jo aadmi khwab mein kabootri ban jai to ishara ha woh dushman ka maal khay ga, kabootri se muraad ane wala khat ya khaber hoti h is liye k kabootar khat le jata tha.
Ager koi bnda tangi mein ya apne kisi azeez ke ghaib hone ki halat mein kabootri daikhay to ya oske liye khoshkhabri (goodnews) h Illah(sharet) ya k daikhnay wala mareez ho.
Ager kabootri mareez pr gera kyu k os surat(condition) mein oski dalalat oski maut pr hogi bil-khasoos ager kabootri yamama ki ho aur khwab mein oske ser se ke qareeb roay kabhi kabootri se muraad beti hoti h, tabeer k lihaaz se sabz (green) kabootar afzel h.
Ager koi bnda kabootari ki ankh ma aib(nuks) daikhay to oski biwi ke deen ya ikhlaaq ma aib(nuks) h.
Ager koi bnda kabootri pr teer-andaazi kre to daleel h apni aurat pr tohmat lgai ga ya qta-kalami kre ga.
Ager kisi ko kabootri se anday haasil howe to ose apni biwi se maal ya betiyan haasil hongi.
Ager koi bnda khwab mein palto kabotroo ka shikaar kre to auratoon se haram kari kre ga.
Kabootri ya kisi mazeed (more) parinday ko kaid krna apni biwi ko kuch sikhana aur oski talqeen krna ha.
Ager kisi ne kabootri ko apne ser(Head) ,kandhay(Shoulder) pr ya gaden(Neck) se lipta daikha to aisa amel ki daleel ha jo oske aur ALLAH mabain (between) hai.
Ager siyah (black) badssorat (ugly) ho to buray amel aur fasad den ka khtra (Danger) hai.
Ager sufaid (White) khoobsurat ho to husn amal aur sllah deen ki daleel hai. Ager kisi ne kabootar ko zakhmi kia ya oska gosht hasil kia to ose bahut se maal-o-der ahem (Important) haasil hongay.