Allama Ibn-e-Sirin ki kitab Khwab nama k mutabik Hazrat Ibne Sirin (R.H) ny farmaya hai. Agar koi dekhy k wo bheek mangta hai aur kuch talab karta hai. Daleel hai k usko khair o manfiyat bahut hogi, aur har aik k saath mazy sy zindagi basar kary ga, lekin loog usko malamat karen gy aur agar dekhy k logon k darwazon sy bheek mangta hai aur usko koi kuch nahi deta hai. Daleel hai k uska kaam ruk jay ga.
Hazrat Jafir Sadiq (R.H) ny farmaya hai k khwab mien bheek mangna chaar wajah parr hai.
1) Khairaat
2) Manfiyat
3) Maashiyat
4) Izzat aur martaba